Posts

Showing posts from July, 2020

###zindagi yu hi chalti rahti hai...###

kitna waqt mangta hai yeh zindagi , kuch waqt ka takaza hi nahi hai. jab hota hai tou kadar nahi aur jab nahi hai tou bilak bilak kar waqt mangtay hai... kya hai yeh  jo samaj se paray hai... jis ki umidd bi nahi hoti who ho jata hai hum bus khaday dektay rehtay hai.. jab jagtay hai tou pata chalta hai ki kya huwa.. Ehsas maray nahi nam pad gayay khahay tou khahay kya... sari umar jis ki suni jis kay liyay sab kuch kiyay jis nay duniya mai datt kar rahna  aur apni marzi ka karna sikhayay. jis nay har din nayay nayay khab  dikhayay. Akhri sans tak jis nay sikhaaya.  who jab ab aaspaas nahi hai tou lagta hai ki kuch kami hai magar ehsaas hai ki yahi khai hai. Har aahat par jo poochtay they kya hua all well,  ghanto batay kartay aur jo bi ho khatay samjatay aur puchtay kuch khana tou nahi hai... yad ati hai kuch gum kuch hassi atti haii... ki mai kabi bi kuch nahi kahti thi bas sunti hi rahti thi.. amuman.. jab zindagi me koi apna Dua ki tharah har waqt sath rahta hai tab humay un ka kha

###zindagi kay pahloo kuch asay bi### ( Lockdown) ##

Zindagi kuch asi Gujar  rahi hai mano sab kuch tham sa gayay hai... Samaj se parahey hai  kabi khab mai bi na soncha ho jo who ho raha hai. Lockdown ki wajah se ek duk ka izhaar adura sa raha. Aur lockdown ki hi wajah se ek dukh badth ja raha hai yeh zindagi kya hai samajdari se upar ki batay hai yeh.  Zindagi kya kya rang dekhati hai humay.  Kisi kay khonay ka ehsas mano chota ho gayay jab khud par ban aai.. Sab apni jan bachaane mai lagaya hai... Apnay sath fir apno ki...  Jab humay yeh sikhatay hai ki doosoro ki kadar karo. Confusion hai... Ki doosoro ki kadar karay tou par apni madat kaun karaga...  Magar jab hum is sab say upar sochte hai tou lagta hai.. Khoyo huwoo ka pyar dil mai rakh kar.. Doosoro ki kadar aur madatt karta hai wo zinda dil hai... 😊 Lockdown nay kuch nayay ayayam dikha diyay.. Jinse insaan bagata tha kho ya andeka kho.. Jab who chahat tou kuch bi ho sakta hai.....  To be continue.... In next post